Weekly Cooking Planner



Assalamualikum Doston
Aj Ka Post Aouraton K Rozana Sawaal Par Hai.
Kal Kya Pakahun?🤔


Rozana Yeh Soch Rehti Hai K Aaj Kya Pakana Hai? Kal kya pakahun? 😫
Pakana toe Wahi Meat Chicken Hai Lekin Aksar Dishes Zyada Hone K Bawajuud Hum Isi Topics May Juuch Te Hai..
Isliye Aj Main Aap Logon Ko Bohout Hi Aasaan Tips Dungi Jis Se Rozana Cooking Tense Se Free Honge Aur Us K Hisaab Se Weekly Bazaar bhi Bhar K Rakh Sakin Ge Bina Waste Kiye.

So Lets Jump To The Post.. 😗
Aap Ko Chahiye
Pen & Paper ✐🕮
Aur 20 Mins Ki Shaanti 😁
Aur Us May Isi Tarike K Charts Tayaar Kar Lin.


Next
Us May Days Laga Lin Ta K Aap Ko Aasan Hoe Konse Din Konsa Dish Hoga Kr k.

Ab First Breakfast Add Karin Apne Hisaab Se.
Aur Ache se Soch K 🙂

Mere Ghar Friday & Sunday Bahar Ka Khate Hai Toe Charts May Usi Hisaab Se Likhi Huwi Hai.
Ab Lunch & Dinner Likhin,
Lunch Aksar Gharon May Main Dish & 1 or 2 Side Dishes Rehte Aur Dinner Kabhi Alag Toe Kabhi Same Hota. Toe Aap Apne Hisaab se Likhdin.
Thoda Soch Lagana Hota Hai But Believe Me is 20 mins K Thinking K Baad Pura Week Aap Ko Kal Kya Pakahun ka Sawaal Karne Ki Zarurat Nahi Rahe Gi. 😺


Ready Hogaya Aap Ka Weekly Plan.. 🙋
Ab Aap Chahe Toe Is Sheet Ko Kitchen Cabinet Ya Fridge K Side May B Laga K Rakh Sakte.
Aur Beside May Joe Blank Space Hai Us May Dish K Hisaab Se Shopping List Likh K Rakh Sakte Hai.
Agar Pasand Aaye Toe Please Apne Doston Se Share Karna Nah Bhulin.
Allah Hafiz
Assalamualiekum

No comments:

Post a Comment