Things That Can Go In Washer (We Didn't Know)

Assalamualiekum Doston.

Haan Ab Topic Se Toe Aap k Mann May Yeh Sawaal Jaruur Aeiga k Washing Machine May Kapre Wash Karte Hai Yeh Kis Ko Nahi Pata Hoga?😫
Lekin Agar Main Yeh Kahun k 😎Washer May Sirf Kapre hi Nahi Aur b Bohout Cheezin Clean/Wash Kar Sakte Hoe Toe!


Ji Haan. Washer May Sirf Kapre Hi Nahi Bulkeh Apne Daily Life May Use Karte Aur b Bht Cheezin Clean Kar Sakte Hai. Jise Hum Washer Hote Huwe Hand Wash Karte Hai.
Waqt ki Baat Hai k Phele Yeh Machines Nahi Hote The Lekin Ab Jab Hai Toe Kun Hum Apna Waqt Barbaad Karin Aur Apne Aap Ko Tired Karin. Just Throw It In Washer Aur Apna Time Bachayin.

Ab Joe b Cheezin Main Batane Ja Rahi Hun Un May Se Kuch Cheezin Maine Apne Aap Hi Try Kiya Hai. (Aur Kuch Logon Nay Comment B Ki Hai k HOW? WHY? Ise Washer May Nahi Daal Ni Chahiye. Etc..) But After All Yeh Mere Liye Easy Hai Toe Main Karti Hun 😝
But Recently I Saw A Post Related To This And That Make Me Happy Kun k Joe Main Kar Rahi Hun Woh Actually May Hai Aur Log Karte Hai. 😊

Post Shuru Karne Se Phele Kuch Tips Batana Chahti Hun Jo Unconventional Items Wash Karne May Help Karegi.

1- Small Cheezon Ko Washer May Direct Daal Ne Se Behtar Hai Aap Laundry Bag Or Old Pillowcase Use Karin.
2- Smaller, Heavier Items Daal Nay Se Saat May Towels Bhi Daalin Isse Weight balanced Rahe Ga.
3- Agar Aap Ki Cheez Bohout Dirty Ho Toe Use Phele Paani Se Spray Karlin Phir Washer May Daalin. Example Beach Clothes, Door Mats Etc..
4- Safest Way To Wash Unconventional Items Is K Aap Normal Ya Cold Water Se Aur Shortest Wash Cycle May Daalin.
5- Unconventional Item Wash Karne Se Detergent Ko Gentle Wala Aur Kam Use Karin. Castile Soap Best Option Hai Gentle Materials k Liye.
6- Humesha Air Dry Karin. Dher Se Dry Hota Hai Lekin Yeh Safest Hai. Never Dry In Washer.
7- This Tips Is What I Regularly Do. Kuch Items k Tags May Likha Hota Hai k Woh Washer May Nahi Jaa Sakte. Aeise Items Ko Laundry Bag May Daal k Shortest Wash Cycle Se Wash Karin And NEVER Let It Spin. Jab Water Dispense Kar Lin Toe Washer Close Kar k Item Ko Air Dry Karin.

Chalo Ab Basics Toe Pata Chal Gaya. Ab Magic Ki Taraf Chalte Hai.

Stuffed Toys / Small Toys


Stuffed Toys Toe Kids/Adult Sab Ko Pasand Hai Lekin Yeh Toys Dirt Bht Attract Karta Hai Isiliye Main Phele Yeh Toys APne Bache k Liye Buy Nahi Karti Thi. But Someone Gifted This To Him. And One Day I Decide To Wash It Kun k Mujhe Apne Bache Ki Health Se Compromise Nahi Karni Hai Chahe Is Experiment Se Toys Barbaad Hi Kun Nah Hoe Jaye. & I Toss It In Washer First It Makes Noises Toe I added 1-2 Towels. After Wash I Hand It For Dry. Its Worked. Toe Ab Main Sirf Stuffed Toys hi Nahi Apne Bache K Sab Toys Siwaye Electric Baki Sab Washer Se Clean Karti Hun.

Mop Heads / Fabric Duster

 Aaahhh. Yeh Cheezin Jitna Use Karne May Aasani Hai Utna Use Clean Karne May Mushkil Hai.πŸ˜ͺ
Lekin Aap Ko Pata Hai k Aap Ise Washer May Daal k Easily Clean Kar Sakte Hoe. Joe Removable Mop Heads Hai Woh Exactly Isi Liye Hai. Toe Deir Kis Baat Ki Aap B Meri Tarah Mop Heads Ko Washer May Daal K Clean Karin.😊 Saat May Dusting Cloths, Removable Dusters Bhi.

Oven Mitts / Potholders

 Oven Mitts, Potholders,Dish Towels & Washcloths Ko Ek Saat Washer May Load Karin.

Baseball Cap / Hats



Hats Ko Shortest Cycle Aur Cold Water Se Wash Karin. Reshape Karin Aur Air Dry Karin.

Sneakers


Sneakers k Laces,Inner Soles Or Padding Nikaal k Pillow Case May Toss Kr k Shortest Cycle May Wash Karin. Thoda Sa Detergent Along With Vinegar For Deodorant.

Pillow


Toss Two Pillows At A Time.

Plastic Shower Curtain


Plastic Shower Curtain With 2-3 Bath Towels For Extra Cleaning.

Back Packs / Purses



Back Packs Aur Purse K Pockets Check Kar k Clean Karin. Pillow Cover May Daal k Washer Start Karin.  Shortest Cycle, Cold Water & Air Dry. Purses Will Last Longer Agar Aap Baar Baar Wash Nah Karin. Only When Needed.

Bath Mats / Small Rugs


Bath Mats Aur Small Rugs Ko Loose Dirt Nikaal Lin. Phir Old Towels k Saat Load Karin For Balance. Dont Wash Rubber Backed Rugs Too Often.

Reusable Grocery Bags


Grocery Bags Straight Into Washer With Other Items.

                                           Prayer Mats                           Heavy Curtains
                                        Sofa Covers                                       White Clothes

Above Pictures Are  Not Mine. If You Are The Owner, Please Contact Me. I Will Respectfully Remove It.
White Clothes Ko Bhi Washer May Hi Daal Ti Hun. Over Night Soak Kar k Next Morning Washer Dobara Start Kar k Wash Karleti Hun Isse Kapron Ko Brush Karne Ki Zarurat Nahi Parti Mujhe. 😊


Umeed Hai Aap Ko Pasand Aaye.
Doston Se Share Karin AUr Blog Ko Follow Karin.
Phir Milte Hai Agle Post May,
Tab Tak k Liye
Allah Hafiz
Assalamualiekum.

No comments:

Post a Comment