Mobile se Parenting Karna Beneficial or Harmful?

Assalamualiekum Doston.


Mobile, TV, Computer etc...
Adults, Teens, Toddlers Jis ko b Dekho Bina Is k Din Nahi Guzarta. Aur In Cheezon se Sab se Zyada Feida Parents Ko Milta Hai.
Keise?


Ab Parents In Cheezon Ka Istemal Karte Hai Bachon ko Sambhal Ne k Liye.
Jeise k...
Baby Khana Nahi Kha Raha - Tv Khol k Dedo.
Baby Roo Raha - Mobile Dedo Is Tarike Se.
Yeh Toe Ab Har Ghar ki Halat Hai Aur Kuch Log Samajte Hai Bache Aeise Hi Pal Te Hai Because That Is The Only Way. Lekin Humare Mushkilon Ka Hal Yeh Mobile ya Tv Toe Nahi Hai. Humare Mushkilon Ka Hal Hum May hi Hai. Hum Bachon Ko Jin Cheezon ki Aadat Karinge Bache Unhi Cheezon Pay Jayinge.

Lekin Kuch Parents Mobile Se Hote Harm Ko Nazar Andaaz Karte Hai..

1.Chote Umr se Bachon ko Glasses ki Zarurat Hojati Hai.
2.Bache Tantrum Hojate Hai.
Aeise Kaafi Bohout Si Harmful Cheezin Hoti Hai. Kuch Nazar Aata Toe Kuch Nahi.

Bache Jab Knife Ya Kuch Harm Hone Wale Cheezin Pakarte Hai Tab Hum Un k Haaton Se Samja k Chilla k Ya Maar k b Lelete Hai. Phir Mobile Kun Nahi? Isliye k Us ka Harm Nazar Nahi Aata?
Sochin Zara k Hum Apne Bache Ko Kis Musibat May Daal Rahe Hai.


Bache Ek Putle Jeise Hai. Aap Putle Ko Jis Shape Se Banaho Ge Woh Usi Shape Se Aeiga.
Mobile Wali Galti Mujhse b Huwi Thi. Starting May Churwana Thoda Sa Mushkil Huwa But Ab Mera Beta Mobile Aadi Nahi Hai. Phir b Sometime Woh Lena Chahta Hai Toe Maangta Hai. Lekin Use Mobile Gaming Ki Aadat Nahi Ki. Use Sirf Mobile May YouTube k Zariye Kuch Nazam Dekhna Hota Phir Rakh Leta.
Bachon ko Entertain ki b Zarurat Hoti Hai Isliye Use Cartoons Batati Hun Only With Limit.
& I Never Let Him Become Fan Of Any Cartoon Characters. Warna Phir Jidar B Superman,Spiderman ka Cheezin Dikha Nahi, Unka Tantrum Shuru Hojata.😂

Mere Is Post Ka Irada Yahi Hai k Aap Sochin. Kya Mobile Zaruri Hai Bachon ko Sambhal ne k Liye?Kya Mobile Toy Hai Bachon k Liye?

Agar Aap ka Bacha Khana Nahi Khata, Toe Is Cheez Pay Tawajjo Din.
Agar Har Cheez k Liye Tantrum Karta, Toe Is Ka Rasta Dunne.
Bachon ko Sambhal na Same Nahi Hota. Apne Bache Ko Sambhal ne Ki Tarkeeb Khud Dunde.
Is Duniya May Koi b Parenting May PHd Nahi Kiya Hai.
Ek Maa Apne Bache ko Sambhal ne ki Tarkeeb Khud Jaanti Hai Isliye Dusron k Tricks Se Apne Bache ko Sambhal Na Chor Din. 



Above Pictures Are  Not Mine. If You Are The Owner, Please Contact Me. I Will Respectfully Remove It.
Comment Down If I Missed Something.

Agar Pasand Aaye Toe Apne Doston Se Share Karna Nah Bulin.

Phir Milte Hai Agle Post May,
Tab Tak k Liye,
Allah Hafiz
Assalamualiekum

1 comment: