Mom's Problem & Kids Toys

Assalamualiekum Doston.



Kya Aap Pura Din Apne Bachon k Toys Samate-te Samate-te Thak Chuke Hai?
Toe Pareshaan Nah Huwe Aap Akele Nahi Hain 😁 Jitne b Maa Hai Unhe Yahi Problem Se Guzar Na Parta Hai. Lekin Kuch Tarikay Hain Jisse Yeh Stress Thoda Kam Ho Sakta Hai..







1. Storage Bins.

Humesha Storage Box/Bins Ya Basket Istemaal Karin Toys Rakhne k Liye. Isse Aap k Ghar bhi Kaafi Neat & Tidy Lage Ga. Aur Toys Har Jagah Bhikre Pare Nahi Rahe Ge.

Plastic Box Ks-4000
Plastic Box Ks-6300
Plastic Basket Ks-3300



2. No Toys In Bedroom.

Rule Rakhin k Bedroom May No Toys. Aur Bachon ko Ek Room/Place Mukarar Kar k Din k Woh Sirf Kahan Toys Se Khail Sakte Hai. Is se Pure Ghar May Toys Gira Nahi Rahe Ga Aur Jab Aap ko Toys Samate Na Ho Tab Aasaani Hogi.




3. Let Them Do Chores

Agar Aap Apne Bachon ko Bachpan se Hi Apne Toys Samate ne ki Aadi Karlin Toe Aap k Aade Kaam Toe Tabhi Pura Hojeiga. Aur Isi Tarah Ghar k Chote Chote Kaamon May Un Ki Madat Lin Yeh Nah Soche k A b Thora Chota Hai. 2&Half / 3Years Kaafi Hai.
(Mere Bete Ko Ghar k Kaamon may Haat Batana Bohout Acha Lagta. Kahin Baar Toys Samate ne k Saat Pillow Cases Nikaal na, Machine May Kapre Daal Na Etc.. b Kar k Deta. Woh Khud Kehta b Hai k Ammi Aur Kya Kaam Hai Batou NaπŸ˜‚.)


4. Hide Toys

Bachon Ki Aadat Hai k Jab New Toys Milta Hai Tab Purane Khilaono se Khailna Kam Ho Jata Hai. Jab Kuch Toys Ko Woh Khaile Hi Nah Ho Tab Unhe Hide Kar k Rakh Din. Phir 1-2 Months k Baad Unhe Wapas De Din. Unhe Yaad Rahe Ga Lekin Yeh Khushi Hogi k Yeh Gayeb Hogaya Aur Ammi ne Duund k Di. Is Tarike Se Toys Bin May b Limit Rahe Ga.



5. No New Toys So Often

Bachon ko Aadat Nah Karin Har Agle Din New Toys Dilane ka. Kun k Jab Ban Jata Hai Tab Churana b Utna hi Mushkil Hota Hai. Phir Shuru Ho Jata Wahi Bachon ka Toy Shop Dekhte Hai Chillana Nah Dilane Par Roona Wageira. Tab Hum Kehte Hai Bohout Shararat Karta Hai. Lekin Ismay Bache ki Koi Galti Nahi Humne Hi Unhe Aadat Lagayi Thi. Isliye Agar Aap Aeise Karte Hoe Tab b Ab se Shuru Kar k Yeh Aadat Churayin. Aur Jab New Toy Dilana Hoto Unhe b Le k Jaayin Aur Puche k Konsa Toy Chahiye? Tab Bachche Bohout Khush Hote Hai. Isse Unhe Pata Chalega k Toys ki Zid Nah Karne Par Unhe Mann Pasand Toys Choose Karne ka Mouka Milta Hai.


6. Clear Off The Floor

Rozana Raat Sonay se Phele Floor May Gire Toys Ko Samate Lin. Isse Agle Din Subah Ghar Kaafi Clean Rahe Ga Aur Toys Mess Nahi Dikhne Ki Wajah Se Morning b Good Wala  Hoga.😁


Above Picture Is Not Mine. If You Are The Owner, Please Contact Me. I Will Respectfully Remove It.


*Jab Bachche Banaye Huwe Rules Aur Sikhaye Huwe Tarike Apna Te Hai Tab Unhe Kahe k Woh Bohout hi Ache Bachche Hai. Chota Sa b Ho Lekin Kuch E-Naam De. Isse Bache Inspire Hote Hai.*

Yeh Hai Mere Kuch Tips Jisse Main Apne Ghar ki Toys Problem Sambhal Ti Huun.
Bache Chote Hoe Toe Baatin Sikha na Bohout Hi Aasaan Hota Hai. Shararat! Bache Nahi Karin ge Toe Kon Karega? Lekin Agar Hum Kuch Rules And Discipline Karlin Toe Bachon Ki Shararat Humari Sar Dard Nahi Bane Gi.

Chalin Phir Milte Hai Agle Post May,
Tab Tak Liye,
Allah Hafiz
Assalamualiekum



No comments:

Post a Comment