7 Important Tips For Vacation Packing

Assalamualiekum Doston.

Apne Last Post May Maine Mention Kiya Tah  Main Vacation Gayi Thi.
Toe Isi Vacation Se Hi Main Post Start Karun Gi.
Vacation k Liye Kuch Packing Tips Bata Hungi Joe Main Follow Karti Hun.

Jab Hum Vacation May Jaate Hai Most Importantly Jab Bache Saat Hoe Toe Hum Bohout Hi Ehtiyaat Karte Hai k Us k Needs k Sab Samaan le Jaye.
Aur Packing k Douran Har Bari May Kabhi Kabhi Zarurat Ki Cheezin Reh Jati Hai, Ya Last Moment May Yaad Aajata.

1. Prepare A Check List

Toe Is k Liye Vacation Jana Hoe Toe Sab Se Phele Cheezon Ka List Banayin.
Isse Aap k Zarurat ki Cheezin Sab Aajeiga Aur Last Moment May Har Bari Karne ki Zarurat Nahi Aur Vacation Araam Se Guzre Ga.

2. Roll Method 


Hum Sab Aeise Society May Hai k Jahan Kapron Ko Fold Karna Sikhaya Jaata Hai. Admit It. Har Maa Apni Beti Ko Kapre Ache Se Fold Karne Kehti Hoe Gi.
I Was The Same. Jab Se Apne Cupboard Khud Organized Karti Hun Tab Se Folding Method Hi Us Kiya Hai. Same On Vacation Packings.
But Ab main Fold Nahi Bulkeh Roll Zyada Like Karti Hun. Chahe Woh Cupboard May Hoe, Ya Packing May.
Roll Method Space Bacha ta Hai Isliye Aap B Roll Method Try Kare.

3. Extra Bags

Totes, Plastic Bags.
Yeh Sab Space Zyada Nahi Leta Aur Bhout Hi Handy Hota Hai. Gande/Wet Kapre Wageira Daalne k Liye.
Aur Agar Aap Ko Mountain Area Jane Ka Plan Hoto Apne Saat Ek Backpack Zaruur Le Jaye. Jisme Aap Apne Zarurat ki Cheezin Daal Sake.


4. Multi Outfit

Travel Light With  One Clothing For Different Outfits. Isse Aap Ko Zyada Clothes Carry Karne Ki Zaroorat Nahi Aur Outfit May b Problem Nahi Hoga.

5. No "Just In Case"

 Kabhi Bhi Just In Case Ka Title Se Packing Nah Karin. Aap Jahan B Jayin Ge Udar Shopping Kar Sakte Hoe. Kabhi Zaroorat Huwi Kuch Cheezon Ka Toe Store Se Buy Kar Lin.

6. Small Dustbin


Jab Aap Car Se Travel Kar Rahe Hoe Toe Is Tarah k Cereal Box May Plastic Bag Daal k Car May Rakhe Ta k Aap Jab Snacks/Fruits Kha k Chilkay Us May Daal Sake. Isse Aap Ki Car Clean b Rahe Ga.

7. Food Bag


Khaane Ki Cheezon Ko Ek Hi Bag May Daalin. Aur Khud Se Kareeb Rakhin Ta k Aap Driving k Douran Easily Access Kar Sake. Aur Kids k Liye Un k Water Bottle Use Karin. Isse Car May Pani Girne k Chances Nahi Rahe Ga.

Yeh Rahe Mere Imortant Tips.
Comment k Zariye Aap b Batayin k Aap k Vacation Packing May Important Tips Konse Hai.

Don't Forget To Follow Me On Instagram - @Creativesumar

Phir Milte Hai Agle Post May
Tab Tak k Liye
Allah Hafiz
Assalamualiekum

No comments:

Post a Comment