Daily Use Vegetable Storage Ideas



Assalamualiekum Doston.

Keise Hai Aap Sab? Umeed Hai Sab Theik Hon Ge.
Pata Hai k Is Baar b Hum late Huwe. Lekin Hum Koshish Kar Rahe Hain Inshallah. Aur Aap Sab k Intezaar k Liye b Shukriya.

Ek News Hai Bohout Jald Inshallah Fashion Post b Charahun Gi.

Chaliye Aaj Vegetable Storage Pay Goar Farmate Hai.


Aksar Gharo May Rozana Istemaal Hone Wale Kuch Veggies Fridge May Sarr Jaate Hai. Un Logon k Ghar Yeh Pareshaani Zyada Hogi Joe Humari Tarah Week May Shayad 2-3 Din Hi Ghar May Rehte Hai Aur Cook Karte Hai. (Traditional Married Life Routine 😃)
Aur Phir Kahin Baar Kuch Veggies Bazaar May Kam Mikdaar May b Khareedi Nahi Jaa Sakti Isliye Fridge May Rehte Sarr Jaate Hai.

Tab Mujhe Yeh Kuch Ideas Mile.
Jise Maine Use Ki Aur Us ki Result Se Kaafi Impress Huwi. Toe Aj Main Wahi Aap Logon Se Share Karna Chahti Hun.


Tomatoes, Chilies, Coriander & Curry Leaves

 

Veggies Wash Karne k Liye Humesha Vinegar Use Karin. Vinegar Veggies Ko Ache Se Clean Kar Leta Hai.
Ek Bowl May 6:1 Water & Vinegar Use Kare.

Tomatoes



Step 1: Tamatar Ko Water Vinegar Mix May Daal k Ache Se 3 Baar Wash Kar Lin.
Mujhe Veggies May Bache Vinegar Ka Smell Acha Nahi Lagta Isliye 3rd Time Running Water k Niche Wash Kar Leti Hun.

Step 2: Phir Tamatar Ko Chalni May Daal k Ache Se Shake Karlin Ta k Excess Water Nikal Jaaye.


Step 3: Ek Towel May Us Tamatar Ko Rakh Lin Aur Tissue Paper Se Ache Se Paani Ko Pouch Lin.
Diyaan Rahe k Paani Bilkul Nahi Rehni Chahiye Jitna Sukh k Rahe Ga Utna Shelf Life Zyada Milti Hai.


Last May Use Kisi b Bowl May Daal Din Jisse Aap Fridge May Store Karin Ge.

Chilies 



Chilies  k Liye b Aap Upar k Step 1 & 2 Repeat Karin.
Step 3: Chilies k Dandi Alag Karlin. Isse Chilies Zyada Deir Tak Fresh Rehta Hai.


Step 4: Chilies Ko Tissue Paper k Upar Rakh Lin, Phir Dusara Paper Se Chilies Ko Ache Se Pouch Lin.


Step 5: Air Tight Container Pay Ek Tissue Paper Rakh k Chilies Ko Store Kar Lin.
(Comment 🙋 Below If Your Skin Is Sensitive To Chilies)

Curry Leaves



Repeat Step 1 & 2

Step 3: Leaves Alag Nikaal Din. Aur Agar Aap Dandiyan Use Karna Pasand Karte Ho Toe Kuch Dandiyan b le Lin.


Step 4 & 5 k Liye Chilies Wala Repeat Karin.


Coriander Leaves



Step 1 & 2 Repeat Karne Se Phele Jo b Leaves Sarr Ne k Kareeb Ho Nikaal Din. Ta k Is Ki Wajah Se Baki Leaves Nah Sarr Jaye.


Step 3: Coriander Leaves Ko  Ek Towel May Lapait k Rakh Lin. 1-2 Mins

Step 4: Phir Tissue Paper Say Ache Se Dry Karlin. Phir 1-2 Mins Air Dry Rakh Lin.


Step 5: Store Karne k Container May Tissue Paper Rakh k Store Karlin.


Har Weeks Container k Andar Rakha Huwa Paper Change Karlin. (Tissue Paper Excess Moisture Absorb Karleta Hai.)
Is Tarah Se Aap Veggies Ko Up To One Months Store Kar Sakte Hoe.


Please ! Share & Comment Karin. 😀

Phir Milte Hai Agle Post May.
Tab Tak k Liye
Allah Hafiz
Assalamualiekum




No comments:

Post a Comment