Natural Homemade Cleaner *UPDATED*

Assalamualiekum Doston.

Keise Hai Sab? Umeed Hai Sab Bohout Mazee May Honge. 😉


Aj k Zamane May Market May Bohout Saare Cleaning Products Hai Harsh Chemical Se Bane Huwe. Aur Kuch Log Ghar May Kids Hone Ki Wajah Se Unhe Use Karna Pasand Nahi Karte Ya Is Soch Se k Ab Cleaning Products May Itna Peisa Kharcha Kun Kare? Aur Phir Kuch Cheezin Only Cleaning k Liye Kaam Karti Aur Kuch Only Disinfectant k Liye.Toe Logon Ko Alag Alag Khareed Na b Bhari Parta Hoga. Lekin Aj Zamana Bohout Aage Pounch Gaya. Hume Nahi Pata Lekin Aeisi Bohout Cheezin Humare Ghar Moujuud Hai Jise Hum Cleaning k Liye Istemaal Kar Sakte. Aur Woh Natural Bhi Hai Is Ki Wajah Se Kids Ya Pets k Liye Harm Bhi Nahi Hai.


Isi Tarah Main Aaj Aap Logon Ko Kuch Aeise Ingredients Batahun Gi Aur Saat Hi Un Ka Formula Bhi Jisse Aap In-Expensive Aur Harmless Narural Homemade Cleaner Bana Sakte Hai.

Chaliye Dekhte Hai Aap K Ghar K Woh Kya Cheezin Hai Joe Aap Cleaning K Liye Use Kar Sakte Hai.



White Vinegar
Soda
Salt
Camphor (Kapur)
Dish Washing Liquid
& Bottles

4 Types Of Cleaner Banayin Ge. (5-6 Months Se Main Use Kar Rahi)

1.Glass Cleaner


Glass Cleaner k Liye Aap Ko Chahiye Vinegar & Water


Aap Ek Spray Bottle May 60% Water Aur 40% Vinegar Daal Din.
Ab Aap Isse Apne Ghar k Windows & Mirror Chamka Sakte Hoe.

2.All Purpose Cleaner


All Purpose Cleaner k Liye Aap Ko Chahiye:
Water - Vinegar - Liquid Soap -


 Ek Spray Bottle May 80% Water, 20% Vinegar & 3-5 Drops Liquid Soap Daal k Shake Kar Lin.
Ab Is Spray Ko Aap Apne Kitchen Counter,Dinning Table, Inside Fridge, Bathroom Tiles Etc..
Agar Aap Marble Par Use Karna Chahte Hai Toe Is May Vinegar Nah Daalin. Aur Wall May Use Karne Se Phele Chote Se Jagah May Test Zaruur Karlin K Aap Ka Paint Fade Hota Ya Nahi,
Kahin Baar Stove Counter Ya Fridge k Andar Kaafi Grease Rehta Hai Tab Aap Is Formula May 1 Teaspoon Soda Daal Din Phir Use Karin.

3. Floor Cleaner 


Floor Cleaner Banane k Baat Aap Is Ko Over Night Rakhlin Ta k Sab Ingredients Pani May Ache Se Gul Jaaye.

Aap Ko Chahiye:
Water - Salt - Soda - Camphor - Vinegar


Main Yahan Ek Clear Bottle Se Bata Rahi.
Ek Bottle May 80% Water, 2 Tbsp Salt, 2 Tbsp Soda, 4-5 Kapur Daal Din.
Phir Dheere Dheere Kar k 1 Cup Vinegar Daalin. (Diyaan Rahe Pani May Soda Ki Waah Se Vinegar Daalte Hi Reaction Shuru Ho Jeiga Isliye Dheere Se Daalin. Phir Ise Over Night Rakh Lin.
Jab Use Karin Toe 1 Liter Pani May 1 Cup Floor Cleaner Daal k Use Karin.

4. Drain Declogger



Above Pictures Are Not By Me. If You Are The Owner Please Contact Me I Will Respectfully Remove It. 
Gharon k Wash Basin May Kahin Baar Paani Ruk Jata Hai Paani Utar Ta Nahi. Yeh Sabhi k Liye Bohout Hi Irritating Moment Hota Hai.
Isliye Is Clogged Drain Ko Theik Karne k Liye Aap Ko Chahiye:

Vinegar - Soda - Boiling Hot Water

Phele Aap Basin Ya Sink k Paani Khaali Kar Lin. Phir Drain k Jagah May 1 Cup Soda Daal Din Phir Us May Half Cup Vinegar Daal Kar 15-20 Mins Tak Chor Din Phir Us May Boiling Hot Water Daal k 10 Min Chor Din Phir Test Karin k Aap Ka Drain Theik Hogaya Ya Nahi. Agar Aap Ise First Time Use Kar Rahe Hai Toe Shayad Aap Ka Saalon Ka Clogged Eki Baar May Theik Nahi Ho Gaya. Aap Phele Ise Daily 3-4 Days Karin Jab Theik Ho Jaye Toe Normally 2 Weeks May Ek Baar Zaruur Karin.
*UPDATED* Upar Bataye Gaye Formulas May Aap 10-15 Drops Essential Oils b Daal Sakte Hai Jisse Aap Ka Ghar Mehke Ga Aur Vinegar Ka Smell b Nahi Rahe Ga.


Chaliye Dekhte Hai Upar Use Kiye Gaye Ingredients Kya Kya Kaam Karti Hai.

Vinegar 

Vinegar Ek Natural Glass Cleaner Hai Lekin Us ki Smell Ki Wajah Se Hum Usme Water Mix Kar K Use Karte Hai.
Vinegar Descale Ka Kaam Karta Hai Aur Grease Ko Aasani Se Hata De Ta Hai Surface Se. Aur Disinfectant Ka Kaam b Karta Hai.
Aur Us May Moujuud Acid Ki Wajah Se Marble,Granite Ya Stone May Istemaal Nahi Kar Sakte.

Dish Soap

Dish Soap Ek Mild Soap May Jis Ki Wajah Se Kisi b Cheez Ya Bachon K Liye Harm Nahi Hai Aur Dirt Ko Aasani Se Hatati Hai. Dish Soap Reidue Nahi Chor Ta If you Find Any Residue Dish Soap k Amount Kam Karlin.


Soda

Soda Kisi b Homemade Cleaning Products Ka Power Boost Karti Hai. Aur Yeh Ek Deodorize b Karti Hai.
Soda Stain Removal Ka Bhi Kaam Karta Hai.

Salt

Salt Disinfectant Ka Kaam Karti Hai Is Ki Wajah Say Makkhi Cockroach Wageira Se Free Hota Hai.

Camphor

Camphor Ka Smell Taez Hota Hai Is Ki Wajah Se Insect Duur Rehta Hai.

Yaad Rakhin k In Saare Formulas May Water Moujuud Hai Isliye Aap Saare Cleaners Ko 1 Month k Andar Use Karin Jo Baki Reh Jaaye Phenk De Aur Naya Banayin.

Toe Aaj Se Aap b Natural Cleaners Use Karin Aur Saat Hi Saat Money Save Karin.

Comment Down Below If You Knew Any Of Above Tricks.
& Please Comment If You Have Made Above Cleaners You Can Also Tag Me In Instagram With Remake Cleaners Picture.

Milte Hai Agle Post May
Tab Tak K Liye
Allah Hafiz
Assalamualiekum
.



No comments:

Post a Comment