D.I.Y Plastic Bags Dispenser

Assalamualiekum Doston.


Bohout Gharon May Plastic Bags Ka Junk Space Bana Rehta Hai. Ab Kare b Toe Kya Karin? Plastic Bags Use Karte Hai Waste Ya Garbage Wageira k Liye Toe Unhe Organize b Keise Kare. Believe Me! Bohout Tarikay Hai Karne k Lekin Kuch Huwa Nahi.


Plastic Bags Ko Ache Se Fold Kar k Rakhne May Waqt b Jata Hai Aur Baat May Dhere Dhere Phir Se Wahi Junk Ho Jata Hai.
Lekin Aj Main Joe D.I.Y Banahun Gi Woh Mere Liye b Kaafi Helpful Huwa.Toe Chale Banate Hai.

Is k Liye Aap Ko Chahiye:

-Fabric (Aap Jo Chahe Use Kar Sakte Hoe. I Used My Old Pillow Cover)
-Scissor
-Fabric Glue ( Aap Chahoe Toe Only Sew b Kar Sakte Hoe.)
-Threads & Needle
-Elastic Band


Sab Se Phele Aap Fabric Ko Apne Hisaab Se Cut Karlin.
Mujhe Bag 15-15 Inch Ka Chahiye Toe Fabric Ko 16-16 Inchs Ka Cut Karli.


Fabric k Ek Side Ko Aap Hem Karlin. ( I Used Glue )


Aur Us k Opposite Side Ko Elastic k Liye Space Rakh k Hem Karlin. ( I Used Glue )


Phir Fabric Ko Is Tarah Fold Kar k Dono Side Ko Mila k Seelin.  ( I Hand Sew It )


Phir Elestic Daal Din. ( I Used a Pin )
Aur Bag Ko Hand Kar Sakne k Liye Ek String Daal Din.


Ready Ho Gaya Aap Ka Plastic Bag Dispenser.
Aap Is May 40 to 50 Plastic Bags Daal Sakte Hoe.


Toe Jahiye Aap b Apne Plastic Bags k Liye Dispenser Banahiye Aur Apne Ghar Ko Organized Rakhiye.

Phir Milte Hai Agle Post May
Tab Tak k Liye
Allah Hafiz
Assalamualikum





No comments:

Post a Comment