7 Quick Fixes Cooking Disasters

Asslamualiekum Doston.

Title Se Aap Ko Pata Toe Chal Gaya Hoga K Aj Ka Post Kis k Baare May Hai.
Jab Hum Cooking Karte Hia Toe Kabhi Aeisa Hojata Hai k Hum Dishes Waste Karle Te Hai Only Because Woh Khaya Nahi Jaa Raha Lekin Agar Un Dishes Ko Save Karne k Tarike Hoto Kon Save Nahi Karna Chahe Ga.

Toe Chale Cooking Mistake Fix Karte Hai...


1- Reduce Salt


Cook k Douran Namak Zyada Hojata Hai. Ab Insaan Toe Hai Professional Chef Se b Galtiyan Hoti Hi Hogi.😝 Toe us Ko Fix Karne k Kuch Tarikay b Hai.

Soup / Curry 

- Raw Potato Ko Chilke Nikaal k Slice Kar k Us May Daal de. Aur 10-15 Mins Tak Stove Off Kr k Rehne De.
- Curd. Dahi Best Salt Reduce Hai. Agar Aap Curry May Dahi Daal De Toe Namkeen Kam Ho Jeiga.
- Coal. Kwaylay Ko Ek Fabric May Potli Bana k Us May Daal K Low Heat May 15 Mins Tak Rakh Lin.
- Vinegar Aur Sugar Ko Mix Kar k b Daal Sakte Hoe.

Fried Item

- Vinegar Aur Sugar Ka Istemaal Karin Ya
- Fried Kiya Huwe Dish k Half Tak Ko Strainer May Daal k Paani Se Wash Karlin. Phir Strain Kiya Huwa Aur Baki Salty Item Ko Mix Kar k High Flame May Fry Karlin.

2- Tone Down Spicy Dishes


Agar Aap k Dish May Chilli Zyada Hogaya Ho Toe Unhe Sirf Spicy Bear Karne Wale k Liye Nah Rakhin Bulkeh Spicy Reduce Karlin. (Can't Reduce Chest Burn Toe Kids Ko Nah Khilana Behtar Hai) 

Soup / Curry

- Dairy Products Cream, Yogurt, Milk Spicy Ko Kam Karta Hai.
- Tamarind/Lemon Thai Cuisine k Top Reduce Spicy Tarika Hai.
- Sweetener Se Bhi Spicy Kam Karsakte Hoe.

Fried Item

- Sweetener Use Karin Ya
Strainer Aur Wash Method use Karin.

3 - Sugar Sugar


Sweet Dish Toe Pasand Hai Lekin Double Sugar Nahi😝
- Add Ingredients Agar Sugar Double Ho Gaya Toe Aur Ingredients Add Kar k Dish Ko Double Karlin.
Ya Phir Adaa Dish Ko Freezer May Store Kar Lin Next Baar Use K Liye Aur Baki Half Ko Double Karlin.

4 - Burnt Dishes


- Switcher Agar Cooking k Douran Kuch Jal Jaaye Toe Sab Se Phele Item Ko Switch Karle Clean Pan May Baad May Next Step Decide Karin.
- More Sweetener Agar Sweet Dish Hoto Mitha Bhara Lin Aur Vanilla Flavour Daal Din.
- Butter New Pan May Butter Daal Din Phir Jale Huwe Dish Daal k Mix Karlin. Burn Taste & Smell Gayeb Hone Tak Butter 1Tsp Daal Te Jaye.
- Raw Potato Method Use Karin.
-Add Spice Burnt Smell Gayeb Karne k Liye Curry Powder Add Kar Sakte Ho.
-Bread For Rice Cooked Rice Agar Jal Jaye Toe Pot Change Kar k Rice k Upar Fresh Bread Slice Rakh k Lid Off Karlin Aur 10 Mins k Liye Chor k Rakhlin.
(Meat, Vegetable Wageira K Jale Huwe Hisse Ko Trim Karna Nah Bulin.)

5 - Too Greasy 


 Soup / Curry k Upar Bohout Zyada Oil Hone Se Khane Ka Mann Nahi Rehta Aur Yeh Oils Health k Liye b Ache Nahi.
-Scoop It Out Easy Hai But Take Times Spoon Se Upar k Hisse Ka Oil Nikaal Lo.
-Soaked With Bread Fresh Bread Slice Ko Oil k Upar Rakh k Oil Soaked Karle.
-Chill It Gravy Ko Freezer May Chill Karle Phir Oil Nikal k Reheat Gravy.

6 - Watery Gravy


-Flour & Cornstarch Se Soup / Curry Ko Thick Kare.
-Lentil Powder Cooked Hone k Baad Daal Kam Par Jaye Toe Daal Powder Ko Water May Mix Kar k Daal Din Aur Pani Daal k Boil De Din. Salt Add Kar k Taste Adjust Karle.

7 - Lumpy Gravy


Soap / Curry May Hum Flour Daal k Gravy Ko Thick Karte Hai Lekin Kabhi Kabhi Method Galat Hone Ki Wajah Se Flour Gravy May Gul Ta Nahi. Is k Liye..
-Strain It Strainer Ki Help Se Flour Ko Mesh Karlin.
-Blend It Ya Phir Blender May Blend Karlin.

Above Pictures Are Not Mine. If You Are The Owner, Please Contact Me I Will Respectfully Remove It.

In Tarikon Se Dishes Normal Toe Nahi Hojata Lekin Khane k Layek Zaruur Ho Jata Hai.
Yeh Tips Main Try Kar Chuki Aur Result b Acha Aaya Isliye Aap b Zarurat k Waqt Zaruur Use Karin.

Apne Doston Se Share Karnin.

Phir Milte Hai Agle Post May
Tab Tak k Liye
Allah Hafiz
Assalamualiekum


No comments:

Post a Comment