Store Lentils & Spices For Longer Shelf Life

Assalamualiekum Doston

Phele Toe Yeh Kahungi k Main Bohout Naraaz Hun Aap Logon Se..
Aap Post Read Toe Karte Hoe Lekin Apna Opinion Share Nahi Karte. (Please! Feel Free To Share Your Opinion Through Comment Section Below)

Ab Post Ki Taraf Chale Te Hai.



Kuch Gharon May Kitchen Stock Pure Month ka Bhar Kar Rakh Lete Hai, Ya Phir Baarish k Mousam May Khaane Ki Cheezin Zyada Deir Tak Acha Nahi Rehta Keere, Mole Wageira Char Jaate Hai. Isse Kaafi Waste b Hota Hai.
Isliye Aaj Kuch Tips Share Karun Gi Jisse Aap Apne Kitchen Stock Ko Keere Makoron Se Duur Rakh Sakte Hoe.

1- Sugar


Ufff Sugar May Jab Ant Charte Hai Toe Kis Ko Gussa Nahi Aata Hoga? Khaas Kar Jab Woh Chote Chote Hoe Toe. Unhe Bagane k Liye Aur Dubara Aap k Sugar Box May Nah Aane k Liye Aap Apne Sugar k Andar 4-5 Laung Daal Din. Ab Aap Agar Sugar Lid Ban Karna Bhuul Jayin Tab b Ants Aap k Sugar k Andar Kadam nahi Rakhe Ga.

2- Lentils


Agar Aap Monthly Stock Bhar k Rakhte Hoe Toe Daal May Keere Aane ki Problem Bohout Ache Se Samjo Ge. Is k Liye Aap Apne Daal k Andar Bay Leaves/Teez Patta Daal k Rakh Lin. ( Dry Neem Leaves b Use Kar Sakte Hoe.)

3- Spices


Masalon Ko Deir Tak Stock Rakhne Se Un Ka Freshness Gayeb Ho Jata Hai Ya Phir Baarish k Mousam May Jaldi Hi Mole Char Jaate Hai.
Toe Aap Apne Spices May 1-2 Tsp Salt Daal k Rakhlin. Isse Masalon May Mole Nahi Chare Ga Deir Tak Fresh b Rahe Ga.

4- Dry Fruits


Dry Fruits Ko Fresh Rakhne k Liye B Salt Ka Use Karin.
Container k Andar 1 Tsp Salt Daalin Phir Tissue Rakhlin Phir Us May Dry Fruits Store Karin. Isse Mole Nahi Chare Ga.

5- Biscuits


Kuch Biscuits Zyada Deir tak Crispy Nahi Rehta Jald Hi Soft Ho Jaate Hai. Khaas Kar Rainy Season May. Is k Liye Aap Container May Tissue Rakhin Phir 1 Tbsp Rice Daalin Phir Tissue Rakhin Ab Biscuits Store Karin. Rice Extra Moisture Absort Karta Hai. Isse Aap k Biscuits Deir Tak Crispy Rahe Ga. ( Rice Purana Hoe Toe Acha Hai Naya Rice Purana k Kam Moisture Absort Karta Hai.)

6- Flour & Rice



Aante Aur Chawal May B Aap Teez Patta Daal k Store Karin.

7- Coffee / Coco


Rainy Season May Coffee, Coco, Milo Etc Jam Jata Hai Isliye Aap Inhe Fridge May Store Karin. Isse Yeh Humesha Fresh Rahe Ga.

8- Sooji / Dhaliya


Sooji, Dalya,Moong, Daal Jeise Cheezin Lentils Se Bhi Kam Samay May Kharaab Ho Jate Hai. Isliye Aap In Cheezon Ko Store Karne se Phele Miduim Flame May Halka Roast Karlin Phir Store Karin.

Chahe Jo b Cheez Hoe Store Karne Se Phele Container Ko Ache Se Saaf Kar k Dry Karin. Aur Air Tight Containers Use Karin.

Agar Aap k b Kuch Tricks Hai Spices Store Karne Ki Toe Hum Sa Share Kare Comment k Through.

Phir Milte Hai Agle Post May
Tab Tak k Liye,
Allah Hafiz
Assalmualiekum

 All Of Above Pictures Are Not Mine. If You Are The Owner, Please Contact Me. I Will Respectfully Remove It.

No comments:

Post a Comment