6 Tips To Keep Your Home Clean & Tidy.

Assalamualikeum Doston.
Above Picture Is Not Mine. If You Are The Owner, Please Contact Me. I Will Respectfully Remove It.

Clean & Tidy Home Toe Sab Ko Pasand Hai. Lekin Pura Din Ghar Theik Karne May Lag Jana Shayad Hi Nahi. Isliye Kuch Tips Share Kar Rahi Hun Joe Kuch Meri Aadat Ban Chuki Hai Aur Kuch Aadat Bana Rahi Hun. Ghar May Zyada Nah Rehne Ki Wajah Se Cleaning k Liye Time Manage Karna Bht Mushkil Hota Hai. Lekin In Tips Se Kaafi Help Huwa Mujhe.

Toe Chalin Tips Ki Taraf....

Tips No. 1 

Ghar Ko Tidy Dikh Ne k Liye First Rule Yeh Hai k Ghar k Har Cheez k Liye Place Mukarar Hoe.
Chahe Regular Wear Shoe Hoe Ya Hair Pins Hoe. Agar Har Cheez Ka Place Set Ho Ga Toe Aap k Ghar Clutter Nahi Rahe Ga.

Tips No. 2

Ghar Ko Tidy Rakhne K Liye Cheezon k Place Set Hona hi Nahi Bulkeh Unhe Place May Rakhna b Zaruri Hai. Kahin Baar Jab Bahar Se Thak k Ghar Aate Hai Toe Hum Keys Table May Rakh Lete Hai, Purse Sofa may Chor Dete Hai, Burkha Hijab Idar Udar Utaar Dete Hai. Admit It k Is k Baad Aap Dusare Kaam May Lag Jaate Hai. Phir Baad May In Sab Ko Collect Karte Hai Ya Phir Dubara Bahar Jaane k Liye Keys Duund Rahe Ho Te Hai.
Toe Next Time Jab Aap Ghar Pounche Toe Keys Key Hold May, Purse Us k Place May, Burkha Hijaab Hanger May.
Aap Ko Yeh Karne May Waqt Nahi Lage Ga, Nah Hi Thakaan Bhar Jaaye Gi. Lekin Aap k Ghar K Tidy Look May Disturb Nahi Hoga.

Tips No. 3

I Don't Know About You. But For Me Jab Main Morning Uthun Toe I Want My Home Clean & Tidy. Lekin Koi Fairy Toe Nahi Hai Joe Humare Soote Waqt Magic Se Sab Theik Kar Lin.😝
Toe Raat Ko Sone  Se Phele Ghar Ko Tidy Karlin. Jeise Bhikhre Huwe Toys, School Bags Books, Clothes, Kitchen Sink.
Jitna Ho Sake Aap Koshish Karin k Raat Ko Kitchen Sink Clean Karlin. Plates Wash Ho Jaye Toe Cabinet May Rakh Lin. Kitchen Sweep Kar Lin. Zyada Nahi Sirf 5-10 Mins Hi Lage Ga Aap Ko. Isse Jab Aap Suba Uthe Toe Aap Ka Mind b Fresh Rahe Ga Clean Home Se.

Tips No. 4

Yeh Tips Hai Kitchen Ki. Kun k Cooking Utna Time Nahi Leti Jitna After Cooking, Cleaning May Lagti Hai. Toe Aap Agar Yeh Tips Follow Karo Toe Definitely Aap Ka Waqt Bach Sakta Hai.
Cooking Karte Waqt Aap 3 Chhezin Apne Pass Rakhin.
1- Ek Bowl Us May Plastic Bag Daal K Rakh Lin. Jab Aap ko Kuch Chil Na Ho Toe Chille Usi May Daalin.
2- Small Plate. Ji Cooking k Waqt Ek Small Plate Stove k Pass Rakhe Aur Spatula Us Pay Rakhin. Isse Aap k Stove, Karahi k Lids Ghande Nahi Hoge.
3- Kabhi Bhi Dirty Hands Se Spatula Ya Masala Box Wageira Nah Pakre. Agar Kitchen Counter k Pass Sink Hoto Har Baar Hand Wash Kar k Hi Cheezin Pakre. Agar Sink Pass Nahi Hoto Ek Bowl May Paani Daal k Rakhin. Isse Aap k Cleaning Time Bht Bache Ga Aur Kitchen Messy b Nahi Lage Ga.

Tips No. 5

Jab Cleaning Karte Hai Toe Kuch Is Tarah Se Karte Honge.
Living Room Ka Sara Clutter Dusara Room May Shift Phir Udar Se Kahin Aur. Isse Toe Aap Ka Waqt Bht Bar Baad Ho Ta Hai. Isliye Jab Aap Cleaning Kare Toe Starting Se Hi Har Cheez Us k Place May Rakhe.
Example- Iron Clothes Closets May, Water Glasses Wash Kar k Cabinet May, Dirty Clothes Laundry Basket Ya Wahing Machine May Ek Saat Load Karlin.

Tips No. 6

Yeh Tips Un Logon k Liye Joe Ghar k Kaam K Saat Bahar Ka Kaam b Sambhal Te Hai. Aeise Logon k Liye Har Cheez Plan Kar K Rakhna Un k Liye Bht Aasani Hoti Hai. Raat Sone Se Phele Ek Paper Ya Mobile Note May Hi List Banalin k Agle Din Kya Kya Kaam Karne Hai. Aur Agar Aap List Kaam k According Rakhe toe Aur Acha Hai. K Kis Kaam k Baad Kya Karna Hai. Isse Aap Ka Koi B Kaam Nahi Chute Ga Aur Easily Arrange b Kar Sakte Hoe.

Comment Kar k Batayin k In Tips May Se Aap Konse Tips Already Use Kar Te Hai.
Aur Apna Cleaning Tips b Comment K Zariye Share Kar K Batayin Humare Readers Ko.

Is Post Ko Share Karna Nah Bulin.
Phir Milte Hai Agle Post May.
Tab Tak k Liye,
Allah Hafiz
Assalamualiekum.





No comments:

Post a Comment