Colorful Jelly Faluda

Assalamualiekum Doston.

Aj Main Share Karun Gi Jelly Faluda Ka Recipe.


Aeise Garmi k Mousam May Thande Thande Faluda Bht Ache Lagte Hai.
Aur Ab Ramzaan Aaraha Hai Toe Please Ise Bana k Apne Gharwalon Ko Khilaayin.
Jelly Faluda Banane k Liye Aap Ko Chahiye:

- Evaporated Milk
- Milk
- Sugar/Sweetener
- Jelly
- Faluda Powder (Jelly Powder) I Use (TELEPHONE AGAR AGAR)

First Ek Pan/Wonk May Evaporated Milk & Milk Mila K 700 ml Daal Lin. Phir Apne Hisaab Se Mitha Add Karin. Maine 1 Big Spoon Sweetener & 1 & Half Big Spoon Sugar Daala Hai.
Phir Ismay 1 & Half Tablespoon Jelly Powder Daalin Aur Ise Boil Karin.


Jab Ache Se Boil Ho Jaye Toe Use Baking Pan May Shift Karlin.
Phir Jelly Ko Chota Chota Cut Kar k Daalin. (Aap Chahe Toe Homemade Jelly B Use Kar Sakte. Maine Yahan Bachon k Jelly Packet Use Ki Hai.)


Jab Thanda Ho Jaye Toe Use Fridge May Daal k Chill Kar Lin. & Your Jelly Faluda Is Ready.


* Agar Faluda Mixture Ache Se Set Nah Hone Ka Darr Ho Toe Boil Hone k Baad Is Tarah Chote Se Plate May Thore Se Mixture Daal k Dekhin. Agar Set Nahi Huwa Toe Jelly Powder Ko Thode Pani Se Mix Kar k Faluda Mixture May Daal k Boil Karlin.*


 Milte Hai Agle Post May
Tab Tak k Liye
Allah Hafiz
Assalamualiekum



Decluttering & Organizing My Closet.

Assalamualiekum Doston.

Aaj Ka Topic Based Hai Har Ladki Ki Daily Problem Pay 😂

"Har Ladki Ki Pareshani,
Pehnne k Liye Kapde Nahi Hai
Aur Rakhne k Liye Jagahe Nahi Hai."

😆😆😆


7 Important Tips For Vacation Packing

Assalamualiekum Doston.

Apne Last Post May Maine Mention Kiya Tah  Main Vacation Gayi Thi.
Toe Isi Vacation Se Hi Main Post Start Karun Gi.
Vacation k Liye Kuch Packing Tips Bata Hungi Joe Main Follow Karti Hun.

Jab Hum Vacation May Jaate Hai Most Importantly Jab Bache Saat Hoe Toe Hum Bohout Hi Ehtiyaat Karte Hai k Us k Needs k Sab Samaan le Jaye.
Aur Packing k Douran Har Bari May Kabhi Kabhi Zarurat Ki Cheezin Reh Jati Hai, Ya Last Moment May Yaad Aajata.

1. Prepare A Check List

Toe Is k Liye Vacation Jana Hoe Toe Sab Se Phele Cheezon Ka List Banayin.
Isse Aap k Zarurat ki Cheezin Sab Aajeiga Aur Last Moment May Har Bari Karne ki Zarurat Nahi Aur Vacation Araam Se Guzre Ga.

2. Roll Method 


Hum Sab Aeise Society May Hai k Jahan Kapron Ko Fold Karna Sikhaya Jaata Hai. Admit It. Har Maa Apni Beti Ko Kapre Ache Se Fold Karne Kehti Hoe Gi.
I Was The Same. Jab Se Apne Cupboard Khud Organized Karti Hun Tab Se Folding Method Hi Us Kiya Hai. Same On Vacation Packings.
But Ab main Fold Nahi Bulkeh Roll Zyada Like Karti Hun. Chahe Woh Cupboard May Hoe, Ya Packing May.
Roll Method Space Bacha ta Hai Isliye Aap B Roll Method Try Kare.

3. Extra Bags

Totes, Plastic Bags.
Yeh Sab Space Zyada Nahi Leta Aur Bhout Hi Handy Hota Hai. Gande/Wet Kapre Wageira Daalne k Liye.
Aur Agar Aap Ko Mountain Area Jane Ka Plan Hoto Apne Saat Ek Backpack Zaruur Le Jaye. Jisme Aap Apne Zarurat ki Cheezin Daal Sake.


4. Multi Outfit

Travel Light With  One Clothing For Different Outfits. Isse Aap Ko Zyada Clothes Carry Karne Ki Zaroorat Nahi Aur Outfit May b Problem Nahi Hoga.

5. No "Just In Case"

 Kabhi Bhi Just In Case Ka Title Se Packing Nah Karin. Aap Jahan B Jayin Ge Udar Shopping Kar Sakte Hoe. Kabhi Zaroorat Huwi Kuch Cheezon Ka Toe Store Se Buy Kar Lin.

6. Small Dustbin


Jab Aap Car Se Travel Kar Rahe Hoe Toe Is Tarah k Cereal Box May Plastic Bag Daal k Car May Rakhe Ta k Aap Jab Snacks/Fruits Kha k Chilkay Us May Daal Sake. Isse Aap Ki Car Clean b Rahe Ga.

7. Food Bag


Khaane Ki Cheezon Ko Ek Hi Bag May Daalin. Aur Khud Se Kareeb Rakhin Ta k Aap Driving k Douran Easily Access Kar Sake. Aur Kids k Liye Un k Water Bottle Use Karin. Isse Car May Pani Girne k Chances Nahi Rahe Ga.

Yeh Rahe Mere Imortant Tips.
Comment k Zariye Aap b Batayin k Aap k Vacation Packing May Important Tips Konse Hai.

Don't Forget To Follow Me On Instagram - @Creativesumar

Phir Milte Hai Agle Post May
Tab Tak k Liye
Allah Hafiz
Assalamualiekum

Will Post Soon...

Assalamualiekum Doston.

Sorry Main Vacation May Thi. Jiski Wajah Se Main Post Nahi Kar Paayi.
Now! I'm Back.
I Will Be Posting Soon....

Stay Tune For New Post & Apna Pasand k Post Ideas Bhi Comment k Through Batana.

Follow Me On Instagram - @creativesumar 

Allah Hafiz
Assalamualiekum

6 Ways To Eat Crepe

Assalamualiekum Doston.


Bohout Phele Maine Crepe Cake Ka Recipe Post Kiya Tha Aj Usi Crepe Ko Main Breakfast May Keise Khaati Hun Batahun Gi.

Crepe k Liye Batter Banane Ka Tarika Aap Pichle Post May Dikhin → Crepe Cake Recipe

Things That Can Go In Washer (We Didn't Know)

Assalamualiekum Doston.

Haan Ab Topic Se Toe Aap k Mann May Yeh Sawaal Jaruur Aeiga k Washing Machine May Kapre Wash Karte Hai Yeh Kis Ko Nahi Pata Hoga?😫
Lekin Agar Main Yeh Kahun k 😎Washer May Sirf Kapre hi Nahi Aur b Bohout Cheezin Clean/Wash Kar Sakte Hoe Toe!

Cheese Sandwich (Omelet Wrapped)

Assalamualiekum Doston.

Aj Banayin Ge Omelet Wrapped Cheese Sandwich.
Aap Ise Breakfast May Ya Evening Chai k Saat b Khaa Sakte Hai.
Adult Aur Bachche Sab Ko Pasand Aeiga.

Store Lentils & Spices For Longer Shelf Life

Assalamualiekum Doston

Phele Toe Yeh Kahungi k Main Bohout Naraaz Hun Aap Logon Se..
Aap Post Read Toe Karte Hoe Lekin Apna Opinion Share Nahi Karte. (Please! Feel Free To Share Your Opinion Through Comment Section Below)

Ab Post Ki Taraf Chale Te Hai.

7 Quick Fixes Cooking Disasters

Asslamualiekum Doston.

Title Se Aap Ko Pata Toe Chal Gaya Hoga K Aj Ka Post Kis k Baare May Hai.
Jab Hum Cooking Karte Hia Toe Kabhi Aeisa Hojata Hai k Hum Dishes Waste Karle Te Hai Only Because Woh Khaya Nahi Jaa Raha Lekin Agar Un Dishes Ko Save Karne k Tarike Hoto Kon Save Nahi Karna Chahe Ga.

Toe Chale Cooking Mistake Fix Karte Hai...

Molten Lava Cake (Microwave)

Assalamualiekum Doston.

Aj Banayinge Yummy Molten Lava Cake.
Above Picture Is Not Mine. If You Are The Owner, Please Contact Me. I Will Respectfully Remove It.

Lava Cake Ko New York City May Chef Jean Georges Vongerichten Nay Invert Kiya Tha 1987 May. Vongerichten Nay Chocolate Sponge Cake Ko Pura Banne Se Phele Oven Se Nikaal Li Thi & Then He Found K Centre May Runny Type Chocolates Hai With Good Taste. But According To French Chef Jacques Torres The Dish Already Existed In French.

6 Tips To Keep Your Home Clean & Tidy.

Assalamualikeum Doston.
Above Picture Is Not Mine. If You Are The Owner, Please Contact Me. I Will Respectfully Remove It.

Clean & Tidy Home Toe Sab Ko Pasand Hai. Lekin Pura Din Ghar Theik Karne May Lag Jana Shayad Hi Nahi. Isliye Kuch Tips Share Kar Rahi Hun Joe Kuch Meri Aadat Ban Chuki Hai Aur Kuch Aadat Bana Rahi Hun. Ghar May Zyada Nah Rehne Ki Wajah Se Cleaning k Liye Time Manage Karna Bht Mushkil Hota Hai. Lekin In Tips Se Kaafi Help Huwa Mujhe.

How I Organized My Papers.

Assalamualiekum Doston.

Aaj Main Share Karun Gi k Kis Tarah Maine Documents,Hospital Records Etc Organize Kar k Rakha Hai.
First Of All Ghar May Documents & Reports Etc Access Sabhi Ko Karna Parta Hai. Lekin Kahin Baar Ek Specific Person Hota Hai Joe Ghar Ka Main Point Hai Sirf Usi Ko Pata Hai Konsa File Kya Hai. Toe Jab Waqt Hota Hai Toe Bht Mushkil Hota Hai Kisi Ko Kuch Files Lene May Ya Har Bhari May Kuch Duundne Nahi Milta.

D.I.Y MultiPurpose Box

Assalamualiekum Doston.

Aj Ka Post Hai D.I.Y Box Banane K Baare May. Jise Aap Apne Ghar k Kisi b Cheez Store Karne k Liye Use Kar Sakte Hoe. Ya Phir Gift Karne k Liye B.
Above Picture Is Not Mine. If You Are The Owner, Please Contact Me. I Will Respectfully Remove It.

D.I.Y Plastic Bags Dispenser

Assalamualiekum Doston.


Bohout Gharon May Plastic Bags Ka Junk Space Bana Rehta Hai. Ab Kare b Toe Kya Karin? Plastic Bags Use Karte Hai Waste Ya Garbage Wageira k Liye Toe Unhe Organize b Keise Kare. Believe Me! Bohout Tarikay Hai Karne k Lekin Kuch Huwa Nahi.

8 Ways To Decorate With Trays

Assalamualiekum Doston.

Aj Ka Topic Hai Trays k Baare May.
Trays Sabhi k Ghar May Hota Hai With Differents Sizes & Designs. Lekin Hum Trays Ko Use Karte Hai Sirf Ghar May Guests Aate Time Ya Phir Shaadi k Thale Sajane K Liye.
Kya Aap Ko Pata Hai k Tray Say Aap Ghar Ko Saja Sakte Hai. Jisse Ghar Khubsurat Aur Tidy b Lagta Hai.
Toe Aaj Aap Logon Se Share Karun Gi Kuch Decoration Ideas With Tray.

Natural Homemade Cleaner *UPDATED*

Assalamualiekum Doston.

Keise Hai Sab? Umeed Hai Sab Bohout Mazee May Honge. 😉


Aj k Zamane May Market May Bohout Saare Cleaning Products Hai Harsh Chemical Se Bane Huwe. Aur Kuch Log Ghar May Kids Hone Ki Wajah Se Unhe Use Karna Pasand Nahi Karte Ya Is Soch Se k Ab Cleaning Products May Itna Peisa Kharcha Kun Kare? Aur Phir Kuch Cheezin Only Cleaning k Liye Kaam Karti Aur Kuch Only Disinfectant k Liye.Toe Logon Ko Alag Alag Khareed Na b Bhari Parta Hoga. Lekin Aj Zamana Bohout Aage Pounch Gaya. Hume Nahi Pata Lekin Aeisi Bohout Cheezin Humare Ghar Moujuud Hai Jise Hum Cleaning k Liye Istemaal Kar Sakte. Aur Woh Natural Bhi Hai Is Ki Wajah Se Kids Ya Pets k Liye Harm Bhi Nahi Hai.

Daily Use Vegetable Storage Ideas



Assalamualiekum Doston.

Keise Hai Aap Sab? Umeed Hai Sab Theik Hon Ge.
Pata Hai k Is Baar b Hum late Huwe. Lekin Hum Koshish Kar Rahe Hain Inshallah. Aur Aap Sab k Intezaar k Liye b Shukriya.

Ek News Hai Bohout Jald Inshallah Fashion Post b Charahun Gi.

Chaliye Aaj Vegetable Storage Pay Goar Farmate Hai.

Crepe Cake

Assalamualiekum Doston.

Sabse Phele Aap Logon Se Maafi Chahti Hun.
Mere Busy Schedule Ki Wajah Se Post Late Publish Ho Rahe Hai But I Promise k Main Phirse Track May Aane Ki Koshish Karun Gi.
Thanks For Your Waiting.

Chale Dekhte Hai Aaj Kya Banayin Ge.
Crepe Cake